Scene : IITK Main Road, 5:00 in the evening
Players : A sick, nauseatic Rakshit Kachhal and a sicker Saumya Jain moving towards IITK Gate to buy some medicines for the ever-so-puke-happy Kachhal.
~~~
Saumya : Yaar aaj tune kuchh ajeeb notice kiya? [Did thee notice something astrange today, my friend?]
Rakshit : Nahin toh, kya? Koi baat hai? Bol? [I am afraid not. Pray tell me what it is.]
Saumya : Yaar yeh aaj saari chhoriyaan laal kapde kyun pehne hain? [Cannot continue translating this text in chaste english, it will lose its fun. Get in touch with a Hindi speaking Indian to know what's going on here. End of translation]
Rakshit : Hain?
Saumya : Arre main keh raha hoon aaj jitni bhi ladkiyaan dikh rahi hain, mostly sabhi ne laal kapde pehne hue hain. Yeh achhee baat nahi hai. Inko pata hona chahiye ki laal kapdon se chhoron ko kuchh kuchh hota hai.
Rakshit : Hota hai kya?
Saumya : Aur kya, nahin hota?
Rakshit : Haan yaar, hota to hai.
Saumya : Hain na? Waise main soch raha tha, laal hi kyun?
Rakshit : ...
Saumya : ...
...
...
Rakshit : Abey woh issliye kyunki apun jaise saand type ladkon par laal rang ka hi asar hota hai!
Saumya : mmmmppphhhh!!!
Rakshit : muahahahahaa!!!
~~~
:)
kachal chaapisssssss =))
ReplyDeletemuhahahahaha...that's my reaction
ReplyDeleteand yesssssss...me is BACK