Saturday, July 14, 2007

Kabhi Kabhi

This is the original version of the sher by Sahir Ludhiyanvi that inspired the beautiful rendition of one of the most heart rending verses I have heard lately.

(Note : A self-attempted glossary follows for words in blue)

Kabhi Kabhi

Kabhi Kabhi mere dil mein khayal aata hai
ke zindagi teri zulfon ki narm chhaon mein
guzarne pati to shadaab ho bhi sakti thi
ye tiragi jo mere zeest ka muqaddar hai
teri nazar ki shuaaon mein kho bhi sakti thi

ajab na tha ke main begaana-ilm hokar
tere jamaal ki raynaaiyon mein kho rehta
tera gadaz badan teri neem baaz aankhein
inheen haseen fizaaon mein main ho rehta

pukarteen mujhe jab talkhiyaan zamaane ki
tere labon se halaawat ke ghoont pee leta
hayaat cheekhti phirti barehna-sar aur main
ghaneri zulfon ke saaye mein chup ke jee leta

magar yeh ho na saka...

magar yeh ho na saka aur ab yeh aalam hai
ke tu nahin tera gham teri justajoo bhi nahin
guzar rahi hai kuch iss tarah zindagi jaise
ise kisi ke sahare ki aarzoo bhi nahin

zamaane bhar ke dukhon ko laga chuka hoon gale
guzar raha hoon kuch anjani rahguzaron se
muhib saaye meri simat bhar aate hain
hayat-o-maut ke pur-haul kharzaron se

na koi raah na manzil na roshni ka suragh
bhatak rahi hai khalon mein zindagi meri
inheen khalon mein rah jaaonga kabhi kho kar
main jaanta hoon meri humnafas magar yunhi

kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai ...

Shadaab : Taaza
Tiragi : Andhera
Zeest : Zindagi
Shuaaon : Roshni
Begaana-ilm : Jaankar bhi Anjaana bhi
Jamaal : Husn
Raynaaiyon : Adaaon
Gadaz : Mulayam
Talkhiyaan : Kadwi baatein
Halaawat : Chaen
Hayaat : Zindagi
Barehna-Sar : ...
Justajoo : Longing
Rahguzaron : Raaste
Muhib Saaye : Bhayawah Parchhaiyaan
Hayaat-o-maut ke Pur-haul kharzaron se : Zindagi aur Maut ke dardnaak kaanton se
Khalon : Khaalipan
Humnafas : Dost



By the way ... Here's the much simpler Hindi Version

Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hai
Ki zindagi teri zulfon ki narm chhaon main guzarne pati
Toh shaadaab ho bhi sakti thi.
Yeh ranj-o-gham ki siyahi jo dil pe chhayi hain
Teri nazar ki shuaon main kho bhi sakti thi.

Magar yeh ho na saka ...

Magar yeh ho na saka aur ab ye aalam hain
Ki tu nahin, tera gham teri justajoo bhi nahin.
Guzar rahi hai kuchh iss tarah zindagi jaise,
Isse kisi ke sahare ki aarzoo hi nahin.

Na koi raah, na manzil, na roshni ka suraag
Bhatak rahin hai andheron main zindagi meri.
Inhi andheron main reh jaoonga kabhi kho kar
Main janta hoon meri hum-nafas, magar yunhi

Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hai.

And while I am at it, if you would listen to the song, here's the best stanza

Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai
Ki jaise tu mujhe chaahegi umr-bhar yun hi
Uthegi meri taraf pyaar ki nazar yun hi
Main jaanta hoon ki tu gair hai, magar yun hi

Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai.

4 comments:

  1. I like this one a lot.
    “Tang aa chuke hain kashmash-e-zindagi se ham,
    Thukra na den jahan ko kahin bedili se ham,
    Lo aaj ham ne tod diya rishtay-e-ummeed,
    Lo ab kabhi gila na karen ge kissi se ham,
    Gar zindagi mein mil gaye phir ittefaaq se,
    Puchhenge apna haal teri bebasi se ham.”


    Don't be scared. Even I didn't recalled the words well enough. I had too google to get them in place.

    ReplyDelete
  2. Sahir lived up to his name in all his verses.

    I always wanted to read the original creation but somehow never tried to find it and here it came, on a silver platter, in your blog. Thanks a lot.

    ReplyDelete
  3. This Nazm (free verse,) as distinct from Ghazal, was penned by Sahir for Amrita Pritam and reflects his leftist world view which in a separate verse Sahir had said "Bhookh or Pyas ki maree huee is duniyan mein Ishq hi ek musibat naheen kuch aur bhi hai".

    For me the best realistic lines are "Magar yeh ho no saka aur ab yeh alam hai ki tu nahin to teri justju bhi nahin"

    ReplyDelete
  4. Thank you very much for sharing this.
    Keep it up.

    God bless you.

    ReplyDelete